Kya aap machli khane ke fayde se anjaan hain? Is article ko dhyaanpoorvak padhne ke baad aapka machli ko dekhne ka nazariya badal jayega.
Machli ka naam sunte hi non vegetarians ke muh me paani aa jata hai. Aakhir aaye bhi kyu na, iska behatreen swaad ise dusre non vegetarian khaano se alag banata hai.
Machli swaad me to lajawab hoti hi hai, iske sath sath yah sharir ko bhi kayi labh pahunchati hai. Apne gharo me aap aksar sunte aaye honge ki machli khane se aankhen tej hoti hain, lekin ise khane ke kuch fayde aise bhi hain jinke baare me jaankar aap dang reh jayenge. Rozana machli khane se dil se rogo se mukti mil sakti hai. Machli ek low calorie food hai jisme protein aur omega 3 fatty acids bharpoor matra me hote hain jo sharir ko swasth banane ke liye atyant avashyak hain.
Aaj hum aapko kuch machli khane ke fayde batane wale hain, jinko jaanne ke baad machli aapka pasandida vyanjan ban jayega.
Machli khane ke fayde
Hraday (heart) rogo se mukti
Machli me omega 3 fatty acid hota hai, jo blood pressure ko kam karta hai. Iske alawa ye khoon ko jama hone se rokta hai, khoon me maujood vasa ki matra ko kam karta hai aur sharir me blood circulation ko theek rakhta hai. Hraday rog se peedit logo ko machli ke tel ki tablet ya omega 3 fatty acids ka supplement diya jata hai.Asthma se mukti dilaye
Agency for Healthcare Research and Quality (AHRQ) ki ek shodh se yah pata chala hai ki jo bachche machli ka sevan karte hain, unhe asthma hone ki sambhavnayen kam hoti hai. Halanki bachcho ko bado ke mukaable machli ka sevan kam karna chahiye. Ek hafte me ek baar machli ka sevan karna bachcho ke liye uchit maana gaya hai.Cancer ko door kare
Machli me maujood omega 3 fatty acid breast cancer, oesophagus cancer, ovary cancer aur prostate cancer ke jokhim ko 30-50% tak kam karta hai.Diabetes se chhutkara dilaye
Machli khane se blood sugar ki matra santulit rehti hai aur isse diabetes hone ka khatra bhi kam hota hai.Gathiya rog (arthritis) se mukti dilaye
Machli me fatty acids hote hain jo anti-inflammatory properties ke liye jaane jaate hain. Machli ka sevan karne se gathiya rog (arthritis) aur psoriasis jaisi bimariyo se chhutkara milta hai.Skin aur baalo ko swasth rakhe
Low fat diet khane ka ek nuksaan yah hota hai ki isse baalo aur skin me dryness aati hai. Haalanki, machli me healthy fats hote hain jo skin aur baalo ko swasth banate hain aur inme hone wali samasya jaise hairfall, rashes aadi se chhutkara bhi dilaate hain.Dimag ko banaye tej
Aankhon ki raushni kare tej
Agar baat machli khane ke fayde ki hoti hai to yah fayda aksar bataya jata hai. Omega 3 fatty acid aankho ke retina ke ootak (tissue) ka vikas karne me sahayak hota hai. Haal hi me huye shodh se yah pata chala hai ki yadi garbhvati mada machli ka sevan karti hai to uske andar pal rahe bachche ki aankho ki raushni tej hoti hai kyunki uske sharir ke liye avshyak fatty acid uski mata ke zariya milta hai.Alzheimer's disease ke hone ke sambhaavna ko door kare
Boodhe log yadi machli ka sevan karte hain to Alzheimer's hone ka khatra taal sakte hain. Hafte me ek baar machli khane se dimag tandrust hota hai aur dimag ki bimario se raahat milti hai. Machli khane se dimag ka vikas hota hai aur isse Gray Matter neurons bhi improve hote hai jisse yaadaasht badhti hai.Depression ko door kare
Machli khane ke fayde to anek hain lekin unme se jo ek ahem fayda hai vah yah hai ki iske sevan se depression se aasaani se chhutkara paaya ja sakta hai. Machli ke sevan ke sath sath yadi aap batayi gayi dawaiya bhi sahi samay par lete hain to depression ko kuch hi dino me door kiya ja sakta hai. Agar aap depression se ladne ke aur bhi tarike jaanna chahte hain to is link par click kare: How to fight depression?Pregnancy me labhdayak
Vitamin D ki kami ko poora kare
The National Institutes of Health ke anusaar, machli vitamin D ka ek acha shrot hoti hai. Vitamin D haddiyo me calcium pradaan karta hai jisse haddiyo ka sahi vikas hota hai. Haddiyo ki bimari se guzar rahe logo ko machli khane ki salah di jati hai.Aasani se neend aaye
Yadi aapko bistar par jaate hi turant neend nahi aati hai ya aap bahut hi kam sone wale logo mese hai to machli aapke liye bahut hi labhdayak bhojan hai. Shodhkartao ka yah manna hai ki machli me vitamin D bharpoor matra me paya jata hai. Isi vitamin ki poorti ke kaaran aasani se neend aa jati hai. Hum aapko bata de ki achi neend na keval dimag ko, balki poore sharir ko tandrust banati hai.Blood pressure ko santulit kare
Agar aap high blood pressure ke mareez hain, to yah khabar aapke liye bahut hi upyogi hai. Machli kha kar aap apne high blood pressure (uchch rakt chaap) ko kam kar sakte hain. Machli me maujood omega 3 fatty acid blood pressure ko kam karne me sahyogi hota hai. Ye khoon ke bahaav ko bhi theek rakhta hai.Liver ki bimariyo ko kare door
Omega 3 fatty acid liver ki bimariyo ko door karne me kaargar hota hai. Columbia University ke ek addhyan se yah pata chala hai ki omega 3 liver me bane triglycerides aur fatty acids ko todta hai. Isse liver bimariyo se mukt hota hai.Khoyi hui taakat ki bharpai kare
To dosto ye the kuch machli khane ke fayde jinko ab aap achi tarah se jaan gaye hain. Apne aur apne parivar ke bhojan me machli ko zarur shamil kare taki aap aur aapka parivar hamesha swasth rahen.
Hum umeed karte hain ki aapko humare article 'Machli khane ke fayde - 16 sharirik labh' se madad mili hogi. Agar aapko yah article pasand aaya ho to ise apne family members aur friends ke sath zarur share kare.
Dhanyawad.
Image source: Pixabay
No comments:
Post a Comment