Mausam badalte hi tarah tarah ke virus sankraman failne lagte hain, jinme se dengue ek behad khatarnaak bimari hai. Waise to dengue ka samanya lakshan bukhar hai, lekin ye samanya bukhar se alag hota hai. Dengue me bukhar ki teevrata kaafi adhik hoti hai aur kamzori ke sath chakkar bhi aate hain. Sankraman badhne ke sath sharir kamzor hota jata hai aur dusre lakshan bhi dikhai dene lagte hain jaise ulti aana, jodo me dard, twacha par rashes aadi. Ye to dengue ke samanya lakshan hain, lekin niche kuch aise dengue ke lakshan diye gaye hain jinke nazar aane par turant doctor se sampark karen.
Agar dengue ke lakshan ko upari taur par dekha jaye to tej bukhar, lagataar ulti aana, ulti ke sath khoon aana, peshab ke sath khoon aana, pet me dard, saans lene me takleef, naak aur masoodho se khoon, thakaan lagna aadi hain. Niche diye gaye dengue ke lakshan padhe aur vistaar se jaane ki kaun si stithi aapke liye haanikarak hai.
Dengue me bukhar ke sath samanya flu aur zukham jaise lakshan bhi nazar aate hain. Isme sar dard, aankho me dard, aankho ke piche dard, badan me dard aur jodo me dard jaise lakshan dikhayi dete hain.
Dengue hone ke teesre ya chauthe din baad agar skin par rashes dikhai de to yah samanya bukhar na ho kar dengue ho sakti hai. In rashes se sabse pehle chehra prabhavit hota hai. Isme chehra laal bhi dikhai de sakta hai. In rashes ke kaaran khujli nahi hoti. Fir, dheere dheere ye rashes baaki sharir ke sath hatho aur pairon tak pahuch jaate hain. Is sthiti ko gambheerta se le. Kabhi kabhi bukhar jaane ke baad khujli waale rashes bhi ubhar aate hain. Ye rashes pair ke talwe par hote hain jinme asahaniya khujli hoti hai.
Dosto, dengue ek khatarnaak bimari hai jo kisi ki bhi jaan le sakti hai. Is bimari me bahut zyada paisa lagta hai aur kayi baar itna paisa lagne ke bavjood bhi patient ki haalat me sudhaar nahi hota. Behtar yahi hai ki dengue failne par vishesh savdhaani barte. Khud ko dengue hone se bachane ke liye niche diye gaye tarike aazmayen.
Waise to dengue ke machchar din ke ujaale me kaat te hain, lekin aap raat me bhi surakshit rehne ke liye machchardani ka upyog karen. Machchardani na hone par aap coil ya liquid ka bhi use kar sakte hain.
Dosto, ab to aap yah samajh hi gaye honge ki dengue bhale hi ek khatarnaak bimari hai, lekin sahi soojh boojh ki madad se isse bacha ja sakta hai. Yadi aapko dengue ke lakshan mehsoos hote hain, to turant kisi achche doctor se apna checkup karwaye. Iske alawa, dengue ke failne par taral cheezo ka adhik sevan karen.
Hum umeed karte hain ki aapko humare article 'Dengue ke lakshan aur isse bachav ke upay' se aapko koi madad to zarur mili hogi. Agar aapko yah article pasand aaya ho to ise apne family members aur friends ke sath bhi share kare taaki ve log bhi dengue ke lakshan ke baare me jaan sake.
Ye bhi padhe:
Sar dard ka ilaj
Lahsun khane ke fayde
Dhanyawaad.
Image source: Pixabay
Agar dengue ke lakshan ko upari taur par dekha jaye to tej bukhar, lagataar ulti aana, ulti ke sath khoon aana, peshab ke sath khoon aana, pet me dard, saans lene me takleef, naak aur masoodho se khoon, thakaan lagna aadi hain. Niche diye gaye dengue ke lakshan padhe aur vistaar se jaane ki kaun si stithi aapke liye haanikarak hai.
Dengue ke lakshan
20 ka mantra
Doctors ke mutabik nabz me 20 ki badhotari, blood pressure me 20 ki kami aur high aur low blood pressure me 20 se kam ka antar dikhta hai to turant apna check up karaye. Ye dengue ke lakshan ho sakte hain.Bahut adhik bukhar
Dengue ke sankraman se hone wale bukhaar ki teevrata kaafi tej hoti hai. Is bukhar me thermometer ka paara 102 se 105 degree tak pahuch jata hai. Ek hafte tak bukhar tej rehta hai, iske baad thoda aaram bhale hi mil sakta hai. Lekin, ise raahat na samjhen. Fir se bukhar aa sakta hai, aur wo bhi pehle se zyada tej.Sharir me dard rehna
Plasma leakage ki samasya
Plasma leakage dengue me ek khatarnaak awastha hai. Ultrasound karwa ke sharir me ho rahe plasma leakage ka pata lagaya ja sakta hai. Ye sankraman ke 3 se 7 din ke andar hota hai. Agar sharir ka tapmaan ghatne lage, to bilkul satark ho jaaye. Iske alawa pet dard, lagataar ulti, susti bhi iske gambheer lakshan hain.Kamzori aur aalas
Dengue hone par sharir me kamzori aane lagti hai aur koi bhi kaam karne me bahut zyada aalas aata hai. Sharir ka vajan bhi kuch hadd tak kam ho jata hai. Agar aapke sharir me kamzori aur aalaspan rehta hai, to turant apna checkup karwaye.Baar baar ulti aana
Bukhar ke sath baar baar ulti aana bhi dengue ke kayi lakshan mese ek hai. Humare sharir ke enzymes me gadbadi aane par aisa hota hai. Is sthiti me sharir me dehydration ho jata hai. Kuch khaane ya peene ke baad bhi agar aapko ulti ho jati hai, tab bhi satark ho jayen.Naak se khoon aana
Dengue ke virus ka asar blood ke composition par bhi hota hai. Aise me agar bukhar ke rehte hue naak ya masoodho mese khoon aaye to satark ho jayen. Isme naak ke sath sath aankhe bhi laal dikhayi de sakti hain sath hi gale me hone wali soojan aur kharash bhi khatarnaak hai. Platelets ki kami ki vajah se blood density badh jati hai, yah bhi dengue hone ki ek nishaani hai.Skin par rashes hona
Dosto, dengue ek khatarnaak bimari hai jo kisi ki bhi jaan le sakti hai. Is bimari me bahut zyada paisa lagta hai aur kayi baar itna paisa lagne ke bavjood bhi patient ki haalat me sudhaar nahi hota. Behtar yahi hai ki dengue failne par vishesh savdhaani barte. Khud ko dengue hone se bachane ke liye niche diye gaye tarike aazmayen.
Dengue se bachaav ke upay
Paani jama na hone de
Dengue female aedes machchar ke kaatne ki vajah se hota hai, jo jama hue paani par panapte hain. To behtar yahi hoga ki aap apne aaspaas kahin par bhi paani jama hi na hone de. Aap yadi cooler ka prayog karte hain to paani ko saaf rakhen tatha apni suraksha ke liye us paani me phenyl ya mitti ka tel daal de.Machchardani (mosquito net) ka prayog kare
Sharir ko dhak ke rakhe
Dengue se bachne ke liye yah zaruri hai ki aap apne sharir ko poori tarah se dhak kar rakhen. Hamesha poori aasteen ke kapde hi pehne aur shaam ko bachcho ko ghar se baahar jaane ki anumati na de.Saaf safai ka rakhen vishesh dhyan
Apne vaatavaran ko hamesha saaf rakhen aur kachra jama na hone de. Samay samay par ghar ke kone me mitti ke tel ka chhidkaav karaye.Dosto, ab to aap yah samajh hi gaye honge ki dengue bhale hi ek khatarnaak bimari hai, lekin sahi soojh boojh ki madad se isse bacha ja sakta hai. Yadi aapko dengue ke lakshan mehsoos hote hain, to turant kisi achche doctor se apna checkup karwaye. Iske alawa, dengue ke failne par taral cheezo ka adhik sevan karen.
Hum umeed karte hain ki aapko humare article 'Dengue ke lakshan aur isse bachav ke upay' se aapko koi madad to zarur mili hogi. Agar aapko yah article pasand aaya ho to ise apne family members aur friends ke sath bhi share kare taaki ve log bhi dengue ke lakshan ke baare me jaan sake.
Ye bhi padhe:
Sar dard ka ilaj
Lahsun khane ke fayde
Dhanyawaad.
Image source: Pixabay
No comments:
Post a Comment