Hairfall ek kadwa sach hai jisse har aadmi ko apni zindagi me na chahte hue bhi ek na ek baar sweekar karna padta hai. Yah ek aisi samasya hai jo na keval aapse aapke baalon ko chheenti hai, balki aapke andar ke confidence ko bhi aapse chheen leti hai. Aajkal bahut se log baal badhane ka tarika janna chahte hain, jiski madad se ve apne baalon ko lambe aur ghane bana saken. Lekin, kayi baar ve tarike bahut zyada asardaar nahin hote. Ya to ye tarike sharir par dushprabhav daalte hain, ya fir permanent relief dene me asaksham hote hain.
Hairfall ya baalon ka jhadna tab hota hai jab aapke scalp me blood circulation na ho paaye. Aisa hone ke bahut se kaaran hain jaise: emotional stress, vitamin A ki adhikta, vitamin B ki kami, ageing, diabetes, hypothyroidism etc. In kaarano me baal jhadne ka jo sabse bada kaaran hai veh hai sharir me protein aur iron ki kami. Aajkal paushtik aahar ki jagah junk foods ne le li hai. Junk foods khane se hamare sharir ko zaruri nutrients aur minerals nahin mil paate. To sabse mahatvapoorna baal badhane ka tarika hai ki aap paushtik aahar ka sevan karna shuru karen aur junk foods se jitna ho sake door rahen. Niche kuch kifayati tarike diye gayen hain jinki madad se aap aapne baalon ko lambe, mazboot, aur kaale bana sakte hain.
Is article ko english me padhne ke liye click karen diye gaye link par: Hair growth tips in english
Hum umeed karte hain ki aapko hamare article 'Baal badhane ka tarika - 100% asardaar' se koi madad zarur mili hogi. Ise apne doston aur parivaar ke sadasyon ke sath bhi share karen.
Dhanyawaad.
Image source: Pixabay

Baal badhane ke tarike
Baal badhane ka tarika number 1
- Ek medium size ka pyaaj (onion) le aur isko chhote chhote tukdo me kaat len.
- Ab in kate tukdon ko grinder me daal kar puree bana len. Is mixture mese kisi cotton ke kapde ki madad se ras ko kisi bartan me nikaal le.
- Is pyaaj ke juice ko apne baalon aur scalp par lagayen aur 40 minute tak laga chhodh den. 40 minute ke baad apne sir ko dho len.
Baal badhane ka tarika number 2
- Kisi bowl me ek liter garam pani len.
- Isme 1 chammach pyaaj ka ras (onion juice) milayen.
- Jab yah mishran thanda ho jaaye to isse apne baalon ko dhoyein.
- Ache parinaam ke liye is process ko hafte me do baar follow karen.
Baal badhane ka tarika number 3
- Aadha bowl kachcha chawal len. Aap koi sa bhi chawal le sakte hain (example: basmati, brown rice, etc.)
- Chawal ko achi tarah dho len aur 1 liter paani me 5 minute tak boil karen.
- Jo baani bacha hua hai, use kisi cotton ke kapde ki madad se chhaan len.
- Jab paani thanda ho jaaye to ise kisi spray bottle me bhar len.
- Is paani ko apne sukhe baalon me lagayen aur 5 minute tak massage karen. Yaad rahe ki aapke baalon me tel nahin laga hona chahiye.
- Massage karne ke baad apne baalo ko 20 minute tak aise hi chhodh den.
- Fir, apne baalon ko shampoo ki madad se dho len.
Baal badhane ka tarika number 4
- 5-6 lehsun ki kaliyan le aur ise kisi frying pan me daal den.
- Frying pan ko garam hone ke liye gas par chhadha den aur isme 3 bade chammach nariyal ka tel daalen.
- Is mishran ko kuch minute ke liye garam honen den.
- Jab yah mishran thanda ho jaaye to isse apne scalp ko 30 minute tak massage karen.
- Massage karne ke baad apne baalon ko thande paani se dho len.
Baal badhane ka tarika number 5
- Ek ande ko fod len aur isme se safed hisse ko kisi bowl me len.
- Isme ek bada chammach olive oil daalen aur mishran ko achi tarah se chalayen.
- Is mishran ko apne baalon aur scalp par achi tarah se lagayen.
- 15-20 minute tak mishran ko apne sir par laga chhodh den.
- Apne sir ko shampoo se dho len.
Baal badhane ka tarika number 6
- Taazi aloe vera ki patti le aur ise achi tarah se saaf kar len.
- Patti ko chaaku se chhote tukdo me kaat len.
- Ek chhoti katori me pighla hua nariyal ka tel len aur isme aloe vera ki patti ke tukde daal den.
- Is katori ko garam paani par rakh den taaki mishran halka garam ho jaaye. Yaad rahe ki aapko tel ko gas par directly nahin rakhna hai.
- Ab is mishran ko thanda hone ke liye rakh den.
- Is mishran ko apne scalp par lagayen aur massage karen.
- 40 minute baad apne baalo ko dho len.
Is article ko english me padhne ke liye click karen diye gaye link par: Hair growth tips in english
Hum umeed karte hain ki aapko hamare article 'Baal badhane ka tarika - 100% asardaar' se koi madad zarur mili hogi. Ise apne doston aur parivaar ke sadasyon ke sath bhi share karen.
Dhanyawaad.
Image source: Pixabay
No comments:
Post a Comment